Dil aaj fir ghamon ke kaale baadalon se gir gaya hai....kyun, is ka koi jawab nahi...ya shayad hum dhundna nahi chahte....hum to zabardasti koshish karte hai ki in badaalon ko hatake thoda hansne ki koshish kare....par shayad ab ye badal bahut ghane ho gaye hai...or inme kaafi paani bhi jam gaya hai....intezaar hai us din ka jab khulke baarish ho jaaye or dil ko shayad thoda sukoon mil jaye.....
par sach to ye hai ki ab yeh badal kabhi nahi hatenge....ab tak to ye zindagi ka ek hissa ban chuke hai..ajeeb baat hai, par in gham on ke baadal se dil ka ek bahut gehra rishta judd gaya hai....or ab shayad ye burre bhi nahi lagte, inki aadat jo padd gayi hai.....kabhi kabhi to ye darr lagta hai ki ye badal hatt jayenge or ek khila hua, khushiyon sa bhara chehra or sapno se bhara hua dil kisi ko dikh jayega....aisa nahi hona chahiye....duniya ko wo chehra nazar nahi aana chahiye nahi to wo mazaak udayenge....mujhe to ab ye baadal hi apne lagte hai or inhi ke saath achcha lagta hai....sochti hun, kaise sehte honge ye duniya waale khushiyon ki tej roshni ko...hum tak to wo kabhi kabhi hi pohunch paati hai...humein to samajh hi nahi aata ki is roshni ka hum kya kare....humein chain se jeene do apne ghamon ke baadalon mein, mat lao humein khushi ki roshni mein..humare ye aankhen dukhti hai or fir unme se paani hi nikalta hai....dekha, hum to jab khush ho tab bhi rote hai...kya kare humein khushi ka izhaar karna nahi aata kisi or tarikhe se...
kuch aise hi khayal aate honge na un laakhon karoro logon ko jinki zindagi ko sirf gham ke kaale baadal hi ghera hua hai ya hamesh rehte hai....
aise hi majboor kabhi hum bhi to hote honge....ya shayad hum bhi unhi mein se ek honge.......humein bhi shayad kabhi unn kaale baadalon se dillagi si ho jaati hogi....dil ke kisi kone mein hum bhi shayad baadalon ke barasne ka hi intezaar kar rahe hai.......
ajeeb baat hai par aaj aasman ko bhi kaale baadalon ne ghera hua hai....or wo dekhke dil mein bas ek hi khayal aata hai, ki kaunse baadal zyada kaale hai.....or kaun pehle barsega.....
No comments:
Post a Comment